Header Ads

Vitamin B12 kyon hain jaroori.

Vitamin B12
Kai tarah ke poshak tatv mil kar hamari sehat ko sahi rakhte hain, Jinme Vitamins ki khas bhoomika hoti hain. Agar Vitamin B12 ki sharir mein kami ho jaye toh yaddasht kamjor ho sakti hain, aap achanak se thakaan mahsoos karne lagenge, yaha tak ki aap depression ke bhi shikaar ho sakte hain. Aap apne sharir mein is vitamin ko kaise balanced rakh sakte hain, Iske baare mein aaj hum is article se janenge. 

Healthy rahne ke liye hum hamesha santulit aur paushtik aahaar apnane ki koshish karte hain, Lekin kai baar  hamare khan-pan mein koi na koi kami rah hi jati hain, Jisse  health se  related problems hame preshan karne lagti hain. Body ko sahi dhang se kaam karne ke liye Vitamins aur Micro-nutrients ki jaroorat hoti hain. Lekin Vitamin B12 ek aisa tatv hain, Jo dimaag aur tantrika tantra ke sahi kaam karne  mein madad karta hain. Iski kami sach-much mein hamare liye  kafi nuksaandayak saabit ho sakta hain. 

Kyon jaroori hain Vitamin B12 hamare liye :- 

Vitamin B12 hamare cells mein paye jane wale jean  DNA ko banane aur uske repair  mein help karta hain. Yeh brain, spinal cord aur naso ke kuch tatvo ki rachna mein sahayak hota hain. Hamare red blood cells ka production bhi isi se hota hain. Yeh body ke  sabhi parts ke liye alag-alag protein banane ka kaam karta hain.

Vitamin B ki kami ki wajah :- 

• Iska anuvaanshik (Family History) wajah ho sakti hain. 

• Aanto aur wajan ghatane ki surgery karwana bhi iske liye jimmevaar ho sakta hain. 

• crohn's naam ki aanto ki bimari, jiski wajah se Aante Vitamin B12 ko shokh nahi paati hain. 

• Agar kisi ko lambe waqt tak Anemia ki problem rahi ho.

• Vegetarian logo mein iski kami aam si baat ho gyi hain, Kyonki yeh Vitamin  animal product mein jyada paya jata hain. 

Vitamin  B12 ki kami ke lakshan kya hain ? 

Vitamin B12 ki kami se haath-pairo mein jhanjhanahat aur jalan, Jeebh mein sujan, Kuch bhi yaad rakhne mein preshani, skin ka peela padna, Kamjori mahsoos  hona, chalne mein mushkil aana, gair jaroori  thakaan, Depression aadi  ki problems  ho sakti hain. Agar  sharir  mein Vitamin B12 ki bahut jyada kami ho jaye toh Spinal Cord ki nase  khatm  hone  lagti hain. Aisi situation  mein aadmi ko paralysis ka bhi attack ho sakta hain. 

Vitamin B12 kisme jyada paya jata hain :- 

Aksar yeh  swaal hamare zehan mein uthata hain ki khane peene mein aisi kaun si cheezo ko shamil karna chahiye, jisse hame Vitamin B12 ki kami na ho. Halaki Non-Vegetarian food  mein Vitamin  B12 bharpoor  matra mein paya jata hain, Lekin shakahaari logo  ko khastaur par bhojan par dhyaan dena jaroori hain. Vitamin B12 ke kuch acche source hain. Hame dairy products ka bharpoor  matra mein sewan karna chahiye, jaise Doodh, Dahi Paneer, Cheez, Makkhan, Soya Milk aadi. Iske  alawa zameen  ke  bheetar ugne  wali sabziya jaise Aaloo, Gajar, Mooli, Shaljam, Chukandar aadi mein bhi Vitamin B12 paya jata hain. 

Non-Vegetarian logo  ko Anda, Machhli, Meat, Chicken aadi  se  Vitamin B12 bharpoor matra mein mil jata hain, Lekin Non-Veg ke  jyada sewan se sharir mein  cholesterol  level  badh jata hain, Jo nuksaandeh saabit ho sakta hain. Isliye  Non-veg ka sewan simit aur  santulit matra mein kare. 

Vitamin  B12 ki kami ka ilaj kaise hota  hain ? 

Aksar dekha  jata hain ki log Vitamin B12 ki kami ki wajah se  dikhne  wale  lakshano ko  mamooli  samajh kar nazar-andaaz karte  jaate  hain, Lekin aage  chalkar  yeh  gambhir samsya ban jati hain. Aise mein jaroori  hain ki bina  der  kiye  Vitamin B12 ka test karwaye. Isme  jyada kharch bhi nahi aata  hain. 1500 se 2000 rupaye  mein yeh test ho jata hain. 

Dawaa ki matra bimari ki gambheerta  par  depend  karti  hain. Iska koi side-effect nahi hota. Yeh dawa  Aanto mein mauzood Lactobacillus Bacteria  ko active karne  ka kaam karti hain. Agar  sahi samay par iski  pahchan kar lee jaye toh  dawaaon ke  saath  sahi khan-paan se  is  problem ka samadhaan ho jata hain. 

Vitamin B12 ki kami ke upchar ke liye non-vegetarian mein aahaar  sudhaar  ke saath, aamtaur  par 3 se 6 mahine tak capsule diye  jate  hain. Halaki Shakahariyo mein iska level normal  hone tak capsule  lene  ki salah di jati hain aur kuch samay baad  agar  lakshan dobara  dikhte  hain toh dawa lene  ko  kaha jata  hain.