Header Ads

Kad (Height) badhane ke liye kuch jaroori diet aur food.

best foods for heightHeight (Kad, lambai) badhane ke liye kya khaye? Height badhane ke liye tips kya hain. Height (Lambai) badhane ke liye food (aahar) kaun sa khana chahiye ya iske tarike kya hain ? agar aap inhi sabhi swaalo se preshan hain to aaj ki post ko jaroor padhe. Aaj ki post mein hum kuch aise gharelu nuskhe aur food ke baare mein janenge jisse height (kad ya lambai) badh sakti hain. 


Jin logo ki height kam hoti hain ve self-confidence mein kami ke karan khud ko kam aankne lagte hain. Aise logo ka sapna hamesha Height badhane ka hota hain. Yadi koi insaan lamba aur soodaul sharir wala hota hain to vah adhik attractive dikhati deta hain. Jo ladke tall, dark aur handsome hote hain ve ladkiyo ko jyada attract karte hain, Lekin height jyadatar anuvanshik karno par nirbhar hoti hain. 


Jin logo ke mata-peeta (parents) ki height kam hoti hain, Unke bacchon ki height jyadatar kam hi hoti hain. Lekin iska yeh matlab nahi hain ki kisi kam height wale vyakti ki height uski average height se jyada badh nahi sakti hain. Yadi aap apni height ko thoda badhana chahte hain to kuch sabziya isme help kar sakti hain. Yeh sabziya hormones ko balance karti hain. Aaiye jante hain aisi sabziyo ke baare mein jinke sewan se height badhne lagti hain. 


1. Palak :- Palak Iron se bharpoor hota hain. 100 Gram palak mein 26 Kilo Calorie energy, Protein 2%, Carbohydrate 2.9%, Nami (moisture) 92 %, Vasa (Fat) 0.7%, Resha (Fiber) 0.6%, Khaniz lavan (Mineral salt) 0.7% hota hain. 

Palak mein kai tarah ke minerals salt jaise Calcium, Magnesium, Iron aur Vitamin A, B, C aadi bharpoor matra mein paye jate hain. Iske alawa yeh reshe yukt, jasta yukt hota hain inhi guno ke karan iske jeevan rakshak bhojan bhi kaha jata hain. Palak ke niyamit sewan se hormones balance hota hain aur height badhti hain.  


2. Salgam :- Shalgam ek aisi sabzi hain, jiske niyamit sewan se hormones balance rahte hain aur height badhne lagti hain. Shalgam mukhya roop se thande ilako mein paida hota hain aur pure world mein paya jata hain. Shaljam mein bharpoor matra mein Minerals, Protein, Fibers aur Carbohydrate hote hain. Shaljam ko aap salad ke roop mein bhi kha sakte hain ya phir kisi sabzi ke saath mila kar iska upyog kar sakte hain. Iske alawa iska sewan Juice ke roop mein bhi kiya ja sakta hain. 


3. Matar :- Matar ek behtarin sabzi hain, jisme bharpoor matra mein poshak tatv hote hain. Isiliye iska niyamit sewan sharir ke liye bahut hi accha hota hain, Lekin dhyaan rahe behtar results ke liye taze matar ka upyog kare. Matar mein Fibers aur protein ke saath minerals bhi mauzood hote hain. Matar ka sewan karne par height badhne lagti hain.


4. Bhindi :- Bhindi guno se bharpoor sabzi hain. Bhindi mein fiber adhik matra mein paya jata hain. Isme Vitamins aur poshak tatv ke saath hi Minerals bhi mauzood hota hain. Iske niyamit sewan se na sirf sharir shaktishali banta hain, balki yeh growth hormones ko balance karti hain.


5. Rhubarb :- Yeh tarah ka paudha hota hain. Jiska upyog kai tarah ke recipes (pakwaan) mein swaad badhane ke liye kiya jata hain. United States mein ise phal (fruit) ke category mein rakha jata hain. Iske niyamit sewan se diabetes nahi hoti hain. Ise hafte mein 4 baar kachcha ya paka kar khana jaroori hain. Iske niyamit sewan se height badhne lagti hain.


6. Broccoli :-   Broccoli khane se kai nutrients fayde hote hain. Yeh gahri hari sabzi , Brasicca family ki hain. Broccoli ko paka kar ya phir kachcha khaya ja sakta hain. Lekin agar aap ise ubaal kar khayenge to jyada fayda hoga.

Is hari sabzi mein Loha, Protein, Calcium, Carbohydrate, Chromium, Vitamin A aur C paya jata hain, jo sabzi ko paushtik banata hain. Iske alawa isme Phytochemicals aur Anti-oxidant bhi hota hain. Iske niyamit sewan se height badhne lagti hain. 

7. Brussels sprout :- Yeh Gajar family ki member hain, Isme Anti-Cancer properties paye jate hain. Saath hi Vitamin, Carbohydrate, Fiber aur protein bhi isme mauzood rahte hain. Brussels Sprout ko kaccha ya adhpaka karke niyamit sewan karne se hormones control mein ho jate hain aur height badhne lagti hain. 

8. Collard Green :- Collard Green ek tarah ka Brazilian paudha hain. Jiska Bhaji ya saag bana kar khaya jata hain. Collard green mein Vitamin C aur Vitamin K paya jata hain. Saath hi asaani se ghulne wale Fiber bhi isme mauzood hain. Iska sabse bada gun yeh hain ki isme Anti-Cancer tatv paye jate hain. Iske niyamit sewan se growth hormone activate hote hain aur height badhne lagti hain. 


9. Bok Choy :- Chinese Gajar ya Bok Choy ek aisi hi sabzi hain jise aapko apni daily diet mein jaroor shamil karna chahiye. Iske niyamit sewan se height badhne lagti hain. Yeh ek aisi sabzi hain jo ki minerals, Vitamins aur fibers ke saath hi carbohydrate se bharpoor hoti hain. Yeh Chinese Gajar growth hormone ko control karti hain. 


10. Phali wali sabziya :- Phali wali sabziya Fiber , Folate aur carbohydrate se bharpoor hoti hain. Apni daily diet mein phallidar sabziyo ko jagah de. Isse hormone control mein ho jayenge. Khane mein ubale huye beans ko shamil karna jyada behtar hoga.