Header Ads

Tej Patta bhojan ka swaad hi nahi badhaata, balki health ke liye bhi hain accha.

Tej Patta (Bay Leaf)
Tej Patta ke anek swasthvardhak fayde hain. Tej patte (Bay Leaf) ka istemal jyada bhojan pakane mein kiya jata hain. Masale ke taur  par  istemal hone wali in pattiyo mein kai chamatkaari gun paye jate hain. Tej Patta mein bharpoor matra mein  Anti-Oxidants paye  jate  hain. 

Tej Patta Indian Kitchen mein pakwano ka swaad aur  khusboo badhane ke  liye jana jata hain. Isme kai tarah ke  Minerals jaise Copper, Pottasium, Calcium, Manganese, Selenium aur Iron paye jate hain.  Tej  Patte  ke  tel mein bhi kai tarah ke medicine gun hote  hain. Is tel se  kai  tarah  ke ointment banaye jate hain aur Isme  Anti-Fungus aur  Anti-Bacterial gun hote  hain. 

Lekin bahut se kam logo  ko  hi Tej patta (Tej Paat, Bay Leaf) ke  guno aur fayde ke baare  mein  hi pata hain. Aaj ki  post mein  Tej-Patte ke labh aur  isse  health  ko hone wale benefits ke  baare mein janenge. 

1. Dard se rahat :- Dard  se rahat paane ke liye  Tej  Patta  ek kargar upay hain. Tej Patte ke  tel se  dard  wali jagah par malish karne se dard se  rahat milti  hain. Iske  alawa agar  tez  seer  dard ho raha ho toh  bhi aap Tejpatte ke tel se  seer ki maalish kar sakte  hain, Yeh aapko bahut fayda pahuchata hain.  

2. Daanto ki chamak ko banaye  rakhe  :- Daanto ka peela  padna  ek  tarah ki problem hain, Jisse  bachne  ke liye log na  jaane  kya kya karte  hain. Tej Patte ki ek patti  ko  lijiye aur ise apne  daanto par  ragadiye, Isse Daanto  ka peelapan door  ho jayega. Paste karte samay iska powder bhi daanto par  ragadne se  daant chamakne  lagte  hain. 

3. Acchi neend ke  liye faydemand  :- Raat ko sone se  pahle Bay Leaf ka istemal karna acchi neend  ke liye bahut hi faydemand  rahta hain. Tej Patte ke tel ki kuch boondo ko paani mein mila kar peene se acchi neend aati hain. 

4. Juon ka ilaj :- Agar  aapke  baalo mein bahut saari juyein ho gyi ho toh, Tej Patta ki 5 pattiyo ko paani mein ubaal le aur phir paani ko thanda karke , isse apne  baalo ko dhoye. Ya phir aap iske  pattiyo ka powder ya paste bana kar baalo mein laga kar chhod de aur thodi der  ke baad ise dho le. Saari ki saari juyein  mar  jayengi.

5. Kidney Stone :- Kidney stone  aur  kidney  se judi problems  ke liye  Tej patte  ka istemal bahut hi faydemand rahta hain. Tej Patte ko ubaal kar , oos paani ko thanda karke  peene se  Kidney  stone  aur  kidney  se judi samsyaon mein fayda milta hain.  

6. Baalo ke  shine  ke liye  :- Tej Patta Baalo ki chamak badhane ke liye bhi istemal kiya ja sakta hain. Iske  kuch  patto ko paani mein ubaale. Is paani ko thanda hone  ke baad  aap isse  apne baalo ko dhoye. Yeh  paani aapke baalo mein kisi conditioner  ki tarah  ki  kaam karega aur chipchipahat door  karta hain. 

7. Pachan ke liye faydemand  :- Agar aapko hajme  se  related  problems hain to aap Tej Patte  ka istemal  kar sakte hain. Pet se judi kai saari samsyaon mein yeh  kargar  upay hain. Chaay mein Tej  patte  ka istemal  karne se Acidity, Kabz  aur  pet marod jaisi problems se aap rahat pa sakte hain.  

8. Pimples door  kare :- Face  par  jyada pimples aur daane hone par Tej patte  ko paani mein daal kar ubaal le aur phir iss paani ko thanda  hone ke  baad  din mein  2 baar  isse  apna  chehra dhoye. Isse chehra saaf-suthra aur chamakdaar ban jata hain. 

9. Dandruff  door  kare  :- Tej patte ki sookhi pattiyo ko pees kar powder bana le aur is powder ko dahi ke saath mix karle. Is paste ko ab seer  par  acchi tarah se laga le, kuch der ke baad seer  ko dhoye. Isse  dandruff  khatm ho jati hain aur seer ki khujali se bhi aaram milta hain. 

10. Cancer se bachaye :- Tej  Patta mein Cancer  se ladne  ke gun hote hain. Isme  caffiec Acid, quercetin aur  eugenol   naam ke tatv hote hain jo metabolism  ko cancer jaisi jaanlewa bimari  hone  se  rok  leta hain. 

11. Fresh aur  glowing  skin ke liye  :- Haal hi mein huye  ek research se yeh baat  pata  chali hain ki ki Tej Patte  mein aise gun hote hain, Jo skin ko behad  glowing banate  hain. Tej patte ko paani mein  ubaal kar oos paani se chehre  ko dhone  se  chehre  mein ek gajab ki shine aa jati hain. 

12. Dil ke liye faydemand :- Heart  se related problems  mein  Tej  patta  bahut hi faydemand  hota  hain. Iske sewan se  Dil ka daura padne  ka  khatra  kam ho jata hain aur heart healthy  rahta hain. 

13. Skin mein ek jaisi rangat  ke liye  :- Dhoop mein nikalne  ke  baad skin ke rang mein  asamanta aa jati hain ya kaale  dhabbe  pad jate hain. Tej  Patte  ko  paani mein ubaal kar, Oos  paani se nahane se labh hota hain aur skin healthy bani rahti hain. 

14. Diabetes  ke  liye  :- Type  2 Diabetes  mein  Tejpatte  ka istemal  karna faydemand  rahta hain.  Yeh blood sugar  level  ko normal  banaye  rakhta  hain aur  heart  ko active  banata  hain. Aise mein jo log diabetes  se  peedit hain, Unhe  Tej Patte  ka sewan  jaroor  karna chahiye.