Vitamin B12 kyon hain jaroori.
Kai tarah ke poshak tatv mil kar hamari sehat ko sahi rakhte hain, Jinme Vitamins ki khas bhoomika hoti hain. Agar Vitamin B12 ki sharir mein kami ho jaye toh yaddasht kamjor ho sakti hain, aap achanak se thakaan mahsoos karne lagenge, yaha tak ki aap depression ke bhi shikaar ho sakte hain. Aap apne sharir mein is vitamin ko kaise balanced rakh sakte hain, Iske baare mein aaj hum is article se janenge.
Healthy rahne ke liye hum hamesha santulit aur paushtik aahaar apnane ki koshish karte hain, Lekin kai baar hamare khan-pan mein koi na koi kami rah hi jati hain, Jisse health se related problems hame preshan karne lagti hain. Body ko sahi dhang se kaam karne ke liye Vitamins aur Micro-nutrients ki jaroorat hoti hain. Lekin Vitamin B12 ek aisa tatv hain, Jo dimaag aur tantrika tantra ke sahi kaam karne mein madad karta hain. Iski kami sach-much mein hamare liye kafi nuksaandayak saabit ho sakta hain.
Kyon jaroori hain Vitamin B12 hamare liye :-
Vitamin B12 hamare cells mein paye jane wale jean DNA ko banane aur uske repair mein help karta hain. Yeh brain, spinal cord aur naso ke kuch tatvo ki rachna mein sahayak hota hain. Hamare red blood cells ka production bhi isi se hota hain. Yeh body ke sabhi parts ke liye alag-alag protein banane ka kaam karta hain.
Vitamin B ki kami ki wajah :-
• Iska anuvaanshik (Family History) wajah ho sakti hain.
• Aanto aur wajan ghatane ki surgery karwana bhi iske liye jimmevaar ho sakta hain.
• crohn's naam ki aanto ki bimari, jiski wajah se Aante Vitamin B12 ko shokh nahi paati hain.
• Agar kisi ko lambe waqt tak Anemia ki problem rahi ho.
• Vegetarian logo mein iski kami aam si baat ho gyi hain, Kyonki yeh Vitamin animal product mein jyada paya jata hain.
Vitamin B12 ki kami ke lakshan kya hain ?
Vitamin B12 ki kami se haath-pairo mein jhanjhanahat aur jalan, Jeebh mein sujan, Kuch bhi yaad rakhne mein preshani, skin ka peela padna, Kamjori mahsoos hona, chalne mein mushkil aana, gair jaroori thakaan, Depression aadi ki problems ho sakti hain. Agar sharir mein Vitamin B12 ki bahut jyada kami ho jaye toh Spinal Cord ki nase khatm hone lagti hain. Aisi situation mein aadmi ko paralysis ka bhi attack ho sakta hain.
Vitamin B12 kisme jyada paya jata hain :-
Aksar yeh swaal hamare zehan mein uthata hain ki khane peene mein aisi kaun si cheezo ko shamil karna chahiye, jisse hame Vitamin B12 ki kami na ho. Halaki Non-Vegetarian food mein Vitamin B12 bharpoor matra mein paya jata hain, Lekin shakahaari logo ko khastaur par bhojan par dhyaan dena jaroori hain. Vitamin B12 ke kuch acche source hain. Hame dairy products ka bharpoor matra mein sewan karna chahiye, jaise Doodh, Dahi, Paneer, Cheez, Makkhan, Soya Milk aadi. Iske alawa zameen ke bheetar ugne wali sabziya jaise Aaloo, Gajar, Mooli, Shaljam, Chukandar aadi mein bhi Vitamin B12 paya jata hain.
Non-Vegetarian logo ko Anda, Machhli, Meat, Chicken aadi se Vitamin B12 bharpoor matra mein mil jata hain, Lekin Non-Veg ke jyada sewan se sharir mein cholesterol level badh jata hain, Jo nuksaandeh saabit ho sakta hain. Isliye Non-veg ka sewan simit aur santulit matra mein kare.
Vitamin B12 ki kami ka ilaj kaise hota hain ?
Aksar dekha jata hain ki log Vitamin B12 ki kami ki wajah se dikhne wale lakshano ko mamooli samajh kar nazar-andaaz karte jaate hain, Lekin aage chalkar yeh gambhir samsya ban jati hain. Aise mein jaroori hain ki bina der kiye Vitamin B12 ka test karwaye. Isme jyada kharch bhi nahi aata hain. 1500 se 2000 rupaye mein yeh test ho jata hain.
Dawaa ki matra bimari ki gambheerta par depend karti hain. Iska koi side-effect nahi hota. Yeh dawa Aanto mein mauzood Lactobacillus Bacteria ko active karne ka kaam karti hain. Agar sahi samay par iski pahchan kar lee jaye toh dawaaon ke saath sahi khan-paan se is problem ka samadhaan ho jata hain.
Vitamin B12 ki kami ke upchar ke liye non-vegetarian mein aahaar sudhaar ke saath, aamtaur par 3 se 6 mahine tak capsule diye jate hain. Halaki Shakahariyo mein iska level normal hone tak capsule lene ki salah di jati hain aur kuch samay baad agar lakshan dobara dikhte hain toh dawa lene ko kaha jata hain.
Post a Comment