Tej Patta bhojan ka swaad hi nahi badhaata, balki health ke liye bhi hain accha.
Tej Patta ke anek swasthvardhak fayde hain. Tej patte (Bay Leaf) ka istemal jyada bhojan pakane mein kiya jata hain. Masale ke taur par istemal hone wali in pattiyo mein kai chamatkaari gun paye jate hain. Tej Patta mein bharpoor matra mein Anti-Oxidants paye jate hain.
Tej Patta Indian Kitchen mein pakwano ka swaad aur khusboo badhane ke liye jana jata hain. Isme kai tarah ke Minerals jaise Copper, Pottasium, Calcium, Manganese, Selenium aur Iron paye jate hain. Tej Patte ke tel mein bhi kai tarah ke medicine gun hote hain. Is tel se kai tarah ke ointment banaye jate hain aur Isme Anti-Fungus aur Anti-Bacterial gun hote hain.
Lekin bahut se kam logo ko hi Tej patta (Tej Paat, Bay Leaf) ke guno aur fayde ke baare mein hi pata hain. Aaj ki post mein Tej-Patte ke labh aur isse health ko hone wale benefits ke baare mein janenge.
1. Dard se rahat :- Dard se rahat paane ke liye Tej Patta ek kargar upay hain. Tej Patte ke tel se dard wali jagah par malish karne se dard se rahat milti hain. Iske alawa agar tez seer dard ho raha ho toh bhi aap Tejpatte ke tel se seer ki maalish kar sakte hain, Yeh aapko bahut fayda pahuchata hain.
2. Daanto ki chamak ko banaye rakhe :- Daanto ka peela padna ek tarah ki problem hain, Jisse bachne ke liye log na jaane kya kya karte hain. Tej Patte ki ek patti ko lijiye aur ise apne daanto par ragadiye, Isse Daanto ka peelapan door ho jayega. Paste karte samay iska powder bhi daanto par ragadne se daant chamakne lagte hain.
3. Acchi neend ke liye faydemand :- Raat ko sone se pahle Bay Leaf ka istemal karna acchi neend ke liye bahut hi faydemand rahta hain. Tej Patte ke tel ki kuch boondo ko paani mein mila kar peene se acchi neend aati hain.
4. Juon ka ilaj :- Agar aapke baalo mein bahut saari juyein ho gyi ho toh, Tej Patta ki 5 pattiyo ko paani mein ubaal le aur phir paani ko thanda karke , isse apne baalo ko dhoye. Ya phir aap iske pattiyo ka powder ya paste bana kar baalo mein laga kar chhod de aur thodi der ke baad ise dho le. Saari ki saari juyein mar jayengi.
5. Kidney Stone :- Kidney stone aur kidney se judi problems ke liye Tej patte ka istemal bahut hi faydemand rahta hain. Tej Patte ko ubaal kar , oos paani ko thanda karke peene se Kidney stone aur kidney se judi samsyaon mein fayda milta hain.
6. Baalo ke shine ke liye :- Tej Patta Baalo ki chamak badhane ke liye bhi istemal kiya ja sakta hain. Iske kuch patto ko paani mein ubaale. Is paani ko thanda hone ke baad aap isse apne baalo ko dhoye. Yeh paani aapke baalo mein kisi conditioner ki tarah ki kaam karega aur chipchipahat door karta hain.
7. Pachan ke liye faydemand :- Agar aapko hajme se related problems hain to aap Tej Patte ka istemal kar sakte hain. Pet se judi kai saari samsyaon mein yeh kargar upay hain. Chaay mein Tej patte ka istemal karne se Acidity, Kabz aur pet marod jaisi problems se aap rahat pa sakte hain.
8. Pimples door kare :- Face par jyada pimples aur daane hone par Tej patte ko paani mein daal kar ubaal le aur phir iss paani ko thanda hone ke baad din mein 2 baar isse apna chehra dhoye. Isse chehra saaf-suthra aur chamakdaar ban jata hain.
9. Dandruff door kare :- Tej patte ki sookhi pattiyo ko pees kar powder bana le aur is powder ko dahi ke saath mix karle. Is paste ko ab seer par acchi tarah se laga le, kuch der ke baad seer ko dhoye. Isse dandruff khatm ho jati hain aur seer ki khujali se bhi aaram milta hain.
10. Cancer se bachaye :- Tej Patta mein Cancer se ladne ke gun hote hain. Isme caffiec Acid, quercetin aur eugenol naam ke tatv hote hain jo metabolism ko cancer jaisi jaanlewa bimari hone se rok leta hain.
11. Fresh aur glowing skin ke liye :- Haal hi mein huye ek research se yeh baat pata chali hain ki ki Tej Patte mein aise gun hote hain, Jo skin ko behad glowing banate hain. Tej patte ko paani mein ubaal kar oos paani se chehre ko dhone se chehre mein ek gajab ki shine aa jati hain.
12. Dil ke liye faydemand :- Heart se related problems mein Tej patta bahut hi faydemand hota hain. Iske sewan se Dil ka daura padne ka khatra kam ho jata hain aur heart healthy rahta hain.
13. Skin mein ek jaisi rangat ke liye :- Dhoop mein nikalne ke baad skin ke rang mein asamanta aa jati hain ya kaale dhabbe pad jate hain. Tej Patte ko paani mein ubaal kar, Oos paani se nahane se labh hota hain aur skin healthy bani rahti hain.
14. Diabetes ke liye :- Type 2 Diabetes mein Tejpatte ka istemal karna faydemand rahta hain. Yeh blood sugar level ko normal banaye rakhta hain aur heart ko active banata hain. Aise mein jo log diabetes se peedit hain, Unhe Tej Patte ka sewan jaroor karna chahiye.
Post a Comment